every verse begins in silence

Verses in Motion

the ink is still drying…

Sai Pranay Tadakamalla

Vm
III · HeartbreakHindi / Urdu

Have I asked you...??

Kya maine pucha tha ki aao zindagi mein,

Kya maine kaha tha ki bas jao dil mein,

Tum khud hi bane the meri jeene ki wajah,

Ab kyun chhod gaye mujhe dard-e-tanhai mein?

Kya maine pucha tha ki kasmein hazaar do,

Meri berang duniya ko khushiyon se sanwaar do,

Maine toh bas tumhe apni duaon mein maanga tha,

Kya kaha tha ki mujhe umar bhar ka intezaar do?

Kya maine pucha tha ki khwaab dikha kar tod do,

Meri hansti hui aankhon ko ashkon se jod do,

Tumhare baad ab khud se bhi mohabbat nahi rahi,

Kya maine pucha tha ki mujhe mujhse hi juda kar do?

— Sai Pranay Tadakamalla