every verse begins in silence

Verses in Motion

the ink is still drying…

Sai Pranay Tadakamalla

Vm
III · HeartbreakHindi / Urdu

Silence is my only language

Main ab unhe awaaz nahin deta hoon…

Kyun? Kyunki agar woh mud kar aa gaye,

To main unki khushi ka qaatil ban jaunga.

Aur agar na aaye…

To qayamat tak aise hi bikhar jaunga.

Isliye…

Ab yeh khamoshi hi meri zubaan hai…

Intezaar hi meri zindagi…

Aur dard hi meri pehchaan…

— Sai Pranay Tadakamalla