III · HeartbreakHindi / Urdu
Now I fear even the cure
Dard aisa zehar diya mujhe,
Ke ab dawa se bhi darta hoon.
Shab-e-gham mein tanha bhatakta hoon,
Ke ab har nayi subah se darta hoon.
Bhool jaane ka waqt aaya,
To sajdon mein usi ko yaad karta hoon.
Jise kab ka kho chuka hoon,
Aaj bhi usi pe marta hoon.
— Sai Pranay Tadakamalla