This is my faithfulness
Pyaar mein Khuda jo dekh liya maine,
Har sajde mein tera noor dekh liya maine.
Jaane waalon ko na roka,
Lekin unki khushiyon ki hifazat ki maine.
Apni hasraton ko dafan karke,
Unki muskurahat ki ibaadat ki maine.
Ishq agar yehi hai…
To yehi meri dua hai…
Dard agar yehi hai…
To yehi meri wafa hai…
Har din aur har raat,
Yunhi jee liya maine.
Har saans mein uska naam,
Khamoshi se le liya maine.
Ye kaisi mohabbat likhi tune…
Jeete ji qabr dikha di tune…
Na usse shikayat hai,
Na tujhe ilzaam deta hoon.
Bas itna samajh na paaya,
Mohabbat ka anjaam kyun deta hoon.
Log kehte hain,
Waqt sab kuch bhula deta hai.
Mujhe to har guzarta lamha,
Uski yaad aur gehri kar deta hai.
— Sai Pranay Tadakamalla